Monday, May 30, 2011

shehar ka mizaz...unka naya andaaz...!!

Shahar ka mizaaaz…aur galiyon ka andaaz……………
Aaj kuch alag sa tha……
Yun hi gujartey hue ….maine kisi se puch hi liya….
Ki sham k ess shannatey mein …
jo main sun raha hun………
vo ankahi aawaz…..ye badla sa andaaz….aakhir hai kya..!!!


muskuratey hue uss sajjan ne ek ore ishara kar diya…
dekha toh …….dekha ki…….
Vo khidki pe khadi thi……..
Phir samajh aaya….mahfil toh unki shaan mein saji thi……..!!!

Varshon baad hui …………unki ess ghar vapasi ne …..
Sanjoye hue ……unki khoobsurat yadoon ne………………..
Aur sari mein liptey hue unke naye andaaz ne……………..
Bass diwana sa kar diya hai………..

Aur phir samajh aaya ….ki kyun aaj…..sahar ka mizaz aur galiyon ka andaaz….yun alag sa hai…. !!!!